Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain
Musqurate Hai To Bijliya Gira Dete Hein
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se
Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hein
Khuda Janay Mohabbat Ka Kya Dastoor Hota Hai
Hum jis say ishq kartey hain, wohi humse door hai...
Thursday, December 18, 2008
Samundar ki lehrein ...
Samundar ki lehrein jaise
tutati hain kinare pe aake
Hawa bhi jaise bikhar jati hai
tere jisam se takraake
Uss kadar ye jaan
dil chahta hai hamara
Tut ke bikhar jaaon
teri bahon mein aake
Sama jaaon her taraf teri rooh mein
tere jisam ki saansein banke
Mausam bas pyar ka
her taraf main khila doon
Zindagi mein teri saari
khushiyan hi khushiyan bhar doon
Na rahe koi aur khwahish teri baki
iss kadar pyar teri zindagi mein main bhar doon .

Pyaar ka meetha ehsaas dilaane laga hai tu...
Pyaar ka meetha ehsaas dilaane laga hai tu,
Ab to mujh se mujhi ko churaane laga hai tu.
Teri chahton ka chaaya hai saroor is qadar,
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu.
Veeraan thi yeh zindagi tere aane se pehle,
Khushiyon ke sapne mujhe dikhaane laga hai tu.
Har pal mujhe hota hai bas tera hi ehsaas,
Is qadar meri saanson mein samaane laga hai tu.
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main,
Hoke juda kiyon mjhe azmaane laga hai tu.
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan,
Ke ban ke saaya saath mere aane laga hai tu.
Naam koi bhi loon to naam aaya tera labon pe,
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu.
Teri yaadon se hi aksar hota hai dil munawwar mera,
Ghul ke saath lahoo ke,nas nas mein samaane laga hai tu.
Jaane kon si dor hai,teri aur kheench le jaati hai,
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu.
Tasuvvar mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhe,
Chorr ke duniya,meri baahon mein samaane laga hai tu.
Yeh to bataa ke kya naam doon iss deewangi ko,
Bechain kar ke har lamha mujhe tadpaane laga hai tu.
Tere khayalon se mehekne lagti hai zindagi meri,
Mere zehn-o-dil pe iss qadar chhaane laga hai tu.
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri,
mujh ko har adaa se ab sataane laga hai tu.
Zeest ki raahon mein dhoop thi har taraf,
Apne pyaar ki baarish ko barsaane laga hai tu.
Kya iss baat ka tujhe ehsaas hai jaan
Mere har shehr mein har gazal mein aane laga hai tu.

Teri yaad aaye to main kya karoon...
Teri yaad aaye to main kya karoon
Tujh bin qaraar na aaye to main kya karoon
Jaagte mein bhi tujh ko sochoon
Sote mein bhi tere khawaab aayein to main kya karoon
Tujhe bhoolne ki lakh karta hoon koshish
Aankhon se teri surat na jaaye to main kya karoon
Tere paas aana chahta hoon main
Zamaana dewaar ban jaaye to main kya karoon
Mere dil mein tasweer hai teri jaanti hai tu
Phir bhi tujhe yaqeen na aaye to main kya karoon

Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain
Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar,aap ko har jagah paa liya karte hain.
Aap ki yaadon ki mehak se din guzaar liya karte hain,
Na mil sakain aapse kabhi to,aapki tasveer ko seene se lagaa liya karte hain.
Hum na jaante the ke pyaar mein itni tadap hoti hai,
Aap ki yaad mein kabhi tanhai mein,aansu baha liya karte hain.
Deewangi ki had na poochho humse,kalam haath se jab thamte hain kuchh kaam se,
Bas aapka naam likh likh ke,dil behlaa liya karte hain.
Ab laut bhi aao tum hamaari khatir,
Ke aapki aas mein hi har shaam guzaar liya karte hain.
Mayusi jab chaa jati hai chehre pe,
Yaad karke aapko, hum yun hi muskuraa liya karte hain.

Kaise Bataaoun Tum Mere Liye Kiya Ho
Kaise Bataaoun Tum Mere Liye Kiya Ho
Tum Dharkano Ka Geet Ho
Jeewan Ka Tum Sangeet Ho
Har Khushi Ho Tum, Pyar Ho Tum
Yaadon Main Tum, Neendon Main Tum
Khawabon Main Tum, Saanson Main Tum
Aahon Main Tum Ho Tum, Ho Meri Har Baat Main
Tum Ho Meri Din, Raat Main, Subah Main Tum, Shaam Main Tum
Soch Main Tum, Kaam Main Tum
Mere Liye Paana Bhi Tum, Mere Liye Khona Bhi Tum
Mere Liye Hansna Bhi Tum, Mere Liye Rona Bhi Tum
Jaata Hoon Kahin, Dekhta Hoon Kahin
Kaise Bataoun Tum Mere Liye Kiya Ho

Subscribe to:
Posts (Atom)